nikli falak se kam kisi sael ki aarzu
niklī falak se kam kisī saa.el kī aarzū
phir us pe aarzū bhī mire dil kī aarzū
hasrat hai us ko niklī na bismil kī aarzū
puurī kare ḳhudā mire qātil kī aarzū
hūroñ se kyā ġharaz thī 'abas bad-gumāñ na ho
jannat meñ le ga.ī tirī mahfil kī aarzū
yuuñ aah nā-rasā ko tamannā-e-'arsh hai
jaise kisī ġharīb ko manzil kī aarzū
ye nā-umīd-e-zīst vo mushtāq-e-raqs hai
bismil kī yaas dekhiye qātil kī aarzū
hai qais kā to shauq zamāne par āshakār
kyā jaane koī sāhib-e-mahmil kī aarzū
duniyā sarā-e-tañg hai mahshar hai jā-e-tañg
'āshiq kahāñ nikāl sake dil kī aarzū
dil har taraf rahā nigarāñ bahr-e-’ishaq meñ
is Dūbte ko rah ga.ī sāhil kī aarzū
pahchān lo faqīr kī sūrat savāl hai
tum jaan lo ye hai mire saa.el kī aarzū
yūsuf ne dekh kar tirī tasvīr ye kahā
kyuuñ ho na aisī shakl-o-shamā.il kī aarzū
rutba kamāl-e-'ishq kā hāsil nahīñ huā
ab 'dāġh' ko hai murshid-e-kāmil kī aarzū
nikli falak se kam kisi sael ki aarzu
phir us pe aarzu bhi mere dil ki aarzu
hasrat hai us ko nikli na bismil ki aarzu
puri kare KHuda mere qatil ki aarzu
huron se kya gharaz thi 'abas bad-guman na ho
jannat mein le gai teri mahfil ki aarzu
yun aah na-rasa ko tamanna-e-'arsh hai
jaise kisi gharib ko manzil ki aarzu
ye na-umid-e-zist wo mushtaq-e-raqs hai
bismil ki yas dekhiye qatil ki aarzu
hai qais ka to shauq zamane par aashakar
kya jaane koi sahib-e-mahmil ki aarzu
duniya sara-e-tang hai mahshar hai ja-e-tang
'ashiq kahan nikal sake dil ki aarzu
dil har taraf raha nigaran bahr-e-’ishaq mein
is Dubte ko rah gai sahil ki aarzu
pahchan lo faqir ki surat sawal hai
tum jaan lo ye hai mere sael ki aarzu
yusuf ne dekh kar teri taswir ye kaha
kyun ho na aisi shakl-o-shamail ki aarzu
rutba kamal-e-'ishq ka hasil nahin hua
ab 'dagh' ko hai murshid-e-kaamil ki aarzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.