Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

koi jaane to kya jaane wo yakta hai hazaron mein

Dagh Dehlvi

koi jaane to kya jaane wo yakta hai hazaron mein

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    koī jaane to kyā jaane vo yaktā hai hazāroñ meñ

    sitam-gāroñ meñ ayāroñ meñ dil-dāroñ meñ yāroñ meñ

    kisī dil to kyā shīsha na TuuTā bāda-ḳhvāroñ meñ

    ye tauba TuuT kar kyuuñ milī parhezgāroñ meñ

    kahāñ hai duḳht-rāzī mohtasib ham bāda-ḳhvāroñ meñ

    tire Dar se vo kāfir chhupe parhezgāroñ meñ

    milegā ba.ad mere phir na mujh-sā qadar-dāñ us ko

    qiyāmat tak rahegā baḳht-e-tīra sogvāroñ meñ

    huī garm-e-'inān jab hosh-o-sabr-tāb-o-'aql-o-dīñ

    dil-e-be-tāb bhī dāḳhil huā pāñchoñ savāroñ meñ

    jo armānoñ meñ dam merā to paikānoñ meñ dil merā

    ye ḳhush hai apne yāroñ meñ vo ḳhush hai apne yāroñ meñ

    farishtoñ se sar-e-roz-e-jazā takrār hotī hai

    lagā rakhā hai ham ko bhī kisī ne jāñ-nisāroñ meñ

    koi jaane to kya jaane wo yakta hai hazaron mein

    sitam-garon mein ayaron mein dil-daron mein yaron mein

    kisi ka dil to kya shisha na TuTa baada-KHwaron mein

    ye tauba TuT kar kyun ja mili parhezgaron mein

    kahan hai duKHt-raazi mohtasib hum baada-KHwaron mein

    tere Dar se wo kafir ja chhupe parhezgaron mein

    milega baad mere phir na mujh-sa qadar-dan us ko

    qiyamat tak rahega baKHt-e-tira sogwaron mein

    hui garm-e-'inan jab hosh-o-sabr-tab-o-'aql-o-din

    dil-e-be-tab bhi daKHil hua panchon sawaron mein

    jo armanon mein dam mera to paikanon mein dil mera

    ye KHush hai apne yaron mein wo KHush hai apne yaron mein

    farishton se sar-e-roz-e-jaza takrar hoti hai

    laga rakha hai hum ko bhi kisi ne jaan-nisaron mein

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Dagh (Pg. 192)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now