dekh ke be-KHudi meri aaj wo muskura diya
Interesting Fact
(روزنامہ ’’ندیم ‘‘ بھوپال۔ جشن، سالگرہ فروری ۱۹۳۹ء)
dekh ke be-ḳhudī mirī aaj vo muskurā diyā
ishq-e-junūñ-mizāj ne husn ko gudgudā diyā
pahle to dard-e-ishq se husn ne tilmilā diyā
phir usī dard-e-ishq ko vaj.h-e-sukūñ banā diyā
sar-ba-sujūd dekh kar dar se mujhe uThā diyā
maiñ ne savāl kyā kiyā us ne javāb kyā diyā
jazba-e-zabt-e-dard ne apnā asar dikhā diyā
husn ko ishq kar diyā ishq ko dil banā diyā
husn-e-nazar-navāz se shikva-e-be-ruḳhī ġhalat
ishq kā valvala diyā dard kā hausla diyā
ik adā-e-dilrubā ik nigāh-e-jāñ-sitāñ
jalva-e-rañg-rañg ne kaif-e-junūñ baḌhā diyā
vo haiñ idhar itaab meñ dil hai udhar azaab meñ
zauq-e-talab ne kyuuñ mujhe jalva-e-iltijā diyā
dil meñ taḌap jigar meñ dard siina meñ ek chamak sī hai
merī fazā-e-qalb ko ishq ne jagmagā diyā
naġhma-e-jāñ-navāz meñ nāla-e-dil-navāz meñ
ishq kā mājrā hī kyā jis ne sunā-sunā diyā
yās-o-ummīd yuuñ rahīñ rāh-e-talab meñ saath saath
chaar qadam haTā diyā chaar qadam baḌhā diyā
kitnī latīf hai 'zakī' kaifiyat junūn kī
hañsne lagā rulā diyā rone lagā hañsā diyā
dekh ke be-KHudi meri aaj wo muskura diya
ishq-e-junun-mizaj ne husn ko gudguda diya
pahle to dard-e-ishq se husn ne tilmila diya
phir usi dard-e-ishq ko wajh-e-sukun bana diya
sar-ba-sujud dekh kar dar se mujhe uTha diya
main ne sawal kya kiya us ne jawab kya diya
jazba-e-zabt-e-dard ne apna asar dikha diya
husn ko ishq kar diya ishq ko dil bana diya
husn-e-nazar-nawaz se shikwa-e-be-ruKHi ghalat
ishq ka walwala diya dard ka hausla diya
ek ada-e-dilruba ek nigah-e-jaan-sitan
jalwa-e-rang-rang ne kaif-e-junun baDha diya
wo hain idhar itab mein dil hai udhar azab mein
zauq-e-talab ne kyun mujhe jalwa-e-iltija diya
dil mein taDap jigar mein dard sina mein ek chamak si hai
meri faza-e-qalb ko ishq ne jagmaga diya
naghma-e-jaan-nawaz mein nala-e-dil-nawaz mein
ishq ka majra hi kya jis ne suna-suna diya
yas-o-ummid yun rahin rah-e-talab mein sath sath
chaar qadam haTa diya chaar qadam baDha diya
kitni latif hai 'zaki' kaifiyat junun ki
hansne laga rula diya rone laga hansa diya
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 184)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.