dekha tujhe to kho gaya apne KHayal mein
dekhā tujhe to kho gayā apne ḳhayāl meñ
kyā ā.īne kī shaan hai tere jamāl meñ
jalvoñ meñ tere kho ga.ī duniyā nigāh kī
a.alam meñ ab jamāl hai a.alam jamāl meñ
ā.īne meñ kahāñ vo tamannā kī zīnateñ
apnā jamāl dekhiye mere ḳhayāl meñ
hai tū hī zaib-e-but-kada-e-qāl bhī magar
kuchh aur hai tū ka.aba-e-arbāb-e-hāl meñ
maanā ki hai raqīb bhī terī hī ik jihat
lāzim hai imtiyāz jamāl-o-jalāl meñ
rūThe to un pe chhā ga.ī kuchh aur bhī bahār
baiThe hue haiñ mahviyat-e-be-ḳhayāl meñ
'maikash' mire gunāh kī karāmat na pūchhiye
vo ḳhud hai sham.a mirī shab-e-infi'āl meñ
dekha tujhe to kho gaya apne KHayal mein
kya aaine ki shan hai tere jamal mein
jalwon mein tere kho gai duniya nigah ki
aalam mein ab jamal hai aalam jamal mein
aaine mein kahan wo tamanna ki zinaten
apna jamal dekhiye mere KHayal mein
hai tu hi zaib-e-but-kada-e-qal bhi magar
kuchh aur hai tu kaba-e-arbab-e-haal mein
mana ki hai raqib bhi teri hi ek jihat
lazim hai imtiyaz jamal-o-jalal mein
ruThe to un pe chha gai kuchh aur bhi bahaar
baiThe hue hain mahwiyat-e-be-KHayal mein
'maikash' mere gunah ki karamat na puchhiye
wo KHud hai shama meri shab-e-infi'al mein
- Book : Maikash Akbarabadi (Pg. 4)
- Author : Moin Faridi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.