dekhte hi dekhte din gae bahaar ke
dekhte hī dekhte din ga.e bahār ke
fasl-e-gul bhī kis qadar tez-tar guzar ga.ī
zindagī qarīb hai kis qadar jamāl se
jab koī sañvar gayā zindagī sañvar ga.ī
dilsitāniyāñ baḌhīñ naujavāniyāñ chaḌhīñ
zarra zarra zindagī phuuT kar ubhar ga.ī
din badal ga.e magar ġham badal sakā nahīñ
dil rahā dil hazīñ chashm chashm-e-tar ga.ī
kyā ḳhabar 'nashvar' thī manzil-e-shabāb kī
phuul le liyā magar nok-e-ḳhār utar ga.ī
shauq thā shabāb kā husn par nazar ga.ī
luT ke tab ḳhabar huī zindagī kidhar ga.ī
bārgāh-e-husn meñ jab kabhī nazar ga.ī
ruk ga.ī sambhal ga.ī tham ga.ī Thahar ga.ī
dekhte hī dekhte ā.ga.īñ javāniyāñ
ras bhare shabāb meñ zulf tā-kamar ga.ī
nuqta-e-nigāh se mahshar-e-ḳhayāl tak
kal tirī ye kā.enāt aarzū se bhar ga.ī
kyuuñ sakoñ nasīb haiñ hijar kī darāziyāñ
jaise pyaas bujh ga.ī jaise bhuuk mar ga.ī
dekhte hi dekhte din gae bahaar ke
fasl-e-gul bhi kis qadar tez-tar guzar gai
zindagi qarib hai kis qadar jamal se
jab koi sanwar gaya zindagi sanwar gai
dilsitaniyan baDhin naujawaniyan chaDhin
zarra zarra zindagi phuT kar ubhar gai
din badal gae magar gham badal saka nahin
dil raha dil hazin chashm chashm-e-tar gai
kya KHabar 'nashwar' thi manzil-e-shabab ki
phul le liya magar nok-e-KHar utar gai
shauq tha shabab ka husn par nazar gai
luT ke tab KHabar hui zindagi kidhar gai
bargah-e-husn mein jab kabhi nazar gai
ruk gai sambhal gai tham gai Thahar gai
dekhte hi dekhte aagain jawaniyan
ras bhare shabab mein zulf ta-kamar gai
nuqta-e-nigah se mahshar-e-KHayal tak
kal teri ye kaenat aarzu se bhar gai
kyun sakon nasib hain hijar ki daraaziyan
jaise pyas bujh gai jaise bhuk mar gai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 310)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.