dida-o-dil mein mere rakkha hai kya ai tuKHm-e-ashk
dīda-o-dil meñ mire rakkhā hai kyā ai tuḳhm-e-ashk
rañg paidā kar zamīñ meñ mil ke daane kī tarah
sūrat-e-ā.īna ai dil tā-kujā dīdār-e-ruḳh
ḳhaak chhān ab kūcha-e-gesū meñ shāne kī tarah
dard-e-dil avval to vo āshiq kā sunte hī nahīñ
aur jo sunte haiñ to sunte haiñ fasāne kī tarah
nāvak-andāz-e-nigah achchhī nahīñ ye tāñk-jhāñk
uḌ na jaaye dekhnā koī nishāne kī tarah
bāda-ḳhvār tum ko kyā ḳhurshīd-e-mahshar kā hai ḳhauf
chhā rahā hai abr-e-rahmat shāmiyāne kī tarah
jab kabhī aatā hai dil meñ terī choTī kā ḳhayāl
choT paḌtī hai jigar par tāziyāne kī tarah
ek baar ai barq taklīf aur kar jhagḌā miTe
phūñk de mujh ko bhī mere āshiyāne kī tarah
tum to aate hī qayāmat karte ho sāhab bapā
dil meñ aate ho to aao ghar meñ aane kī tarah
dar se ka.abe ke nahīñ uThtā sar apnā is liye
is meñ bhī kuchh kuchh hai tere āstāne kī tarah
o kamāñ-abrū idhar bhī sarsarī koī nigāh
tiir ke mushtāq ham bhī haiñ nishāne kī tarah
dil ko aa jaatā hai yād-e-sozan-e-mizgāñ se chain
zaḳhm meñ achchhī hai ye Tāñke lagāne kī tarah
kitne bedard is zamāne ke atibbā haiñ 'amīr'
haal bīmāroñ kā sunte haiñ fasāne kī tarah
dida-o-dil mein mere rakkha hai kya ai tuKHm-e-ashk
rang paida kar zamin mein mil ke dane ki tarah
surat-e-aina ai dil ta-kuja didar-e-ruKH
KHak chhan ab kucha-e-gesu mein shane ki tarah
dard-e-dil awwal to wo aashiq ka sunte hi nahin
aur jo sunte hain to sunte hain fasane ki tarah
nawak-andaz-e-nigah achchhi nahin ye tank-jhank
uD na jaye dekhna koi nishane ki tarah
baada-KHwar tum ko kya KHurshid-e-mahshar ka hai KHauf
chha rahā hai abr-e-rahmat shamiyane ki tarah
jab kabhī aata hai dil mein teri choTi ka KHayal
choT paDti hai jigar par taziyane ki tarah
ek bar ai barq taklif aur kar jhagDa miTe
phunk de mujh ko bhi mere aashiyane ki tarah
tum to aate hi qayamat karte ho sahab bapa
dil mein aate ho to aao ghar mein aane ki tarah
dar se kabe ke nahin uThta sar apna is liye
is mein bhi kuchh kuchh hai tere aastane ki tarah
o kaman-abru idhar bhi sarsari koi nigah
tir ke mushtaq hum bhi hain nishane ki tarah
dil ko aa jata hai yaad-e-sozan-e-mizgan se chain
zaKHm mein achchhi hai ye Tanke lagane ki tarah
kitne bedard is zamane ke atibba hain 'amir'
haal bimaron ka sunte hain fasane ki tarah
- Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 43)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.