din-o-mazhab se tere aashiq ko ab kya kaam hai
dīn-o-maz.hab se tire āshiq ko ab kyā kaam hai
vo samajhtā hī nahīñ kyā kufr kyā islām hai
jitnā terā naam luuñ utnā hī bhaḌke dil meñ shauq
vāh-vāh salle-alā kyā ḳhuub terā naam hai
koī dīvāna huā to koī suulī par chaḌhā
sarfaroshān-e-mohabbat kā yahī anjām hai
'ārif'-e-ḳhasta-jigar shābāsh kyā kahnā tirā
dil-shikasta hai magar lab par usī kā naam hai
din-o-mazhab se tere aashiq ko ab kya kaam hai
wo samajhta hi nahin kya kufr kya islam hai
jitna tera nam lun utna hi bhaDke dil mein shauq
wah-wah salle-ala kya KHub tera nam hai
koi diwana hua to koi suli par chaDha
sarfaroshan-e-mohabbat ka yahi anjam hai
'arif'-e-KHasta-jigar shabash kya kahna tera
dil-shikasta hai magar lab par usi ka nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.