Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil ho hassas to jine mein bahut ghaTa hai

Muzaffar Warsi

dil ho hassas to jine mein bahut ghaTa hai

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

    dil ho hassās to jiine meñ bahut ghāTā hai

    maiñ ne ḳhud apne zaḳhmoñ lahū chāTā hai

    mujh pe ehsāñ hai mirī tesha-ba-kaf sāñsoñ

    zindagī tujh ko pahāḌoñ tarah kaaTā hai

    Duub kar dekh samundar huuñ maiñ āvāzoñ

    tālib-e-husn-e-samā.at mirā sannāTā hai

    maiñ chaTānoñ tarah jin kamīñ-gāh banā

    rafta rafta unhīñ lahroñ ne mujhe chāTā hai

    mar chukā huuñ maiñ ka.ī baar jahāñ ke hāthoñ

    apnī lāshoñ se 'muzaffar' ye kuaañ paaTā hai

    dil ho hassas to jine mein bahut ghaTa hai

    main ne KHud apne hi zaKHmon ka lahu chaTa hai

    mujh pe ehsan hai meri tesha-ba-kaf sanson ka

    zindagi tujh ko pahaDon ki tarah kaTa hai

    Dub kar dekh samundar hun main aawazon ka

    talib-e-husn-e-samaat mera sannaTa hai

    main chaTanon ki tarah jin ki kamin-gah bana

    rafta rafta unhin lahron ne mujhe chaTa hai

    mar chuka hun main kai bar jahan ke hathon

    apni lashon se 'muzaffar' ye kuan paTa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now