Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil jalwa-gah-esurat-e-jaanana ho gaya

Shah Naseer

dil jalwa-gah-esurat-e-jaanana ho gaya

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    dil jalva-gāh-esūrat-e-jānāna ho gayā

    shīsha ye ek dam meñ parī-ḳhāna ho gayā

    shab kyuuñ ki saltanat na kare taaj zar se sham.a

    rashk-e-par-e-humā par-e-parvāna ho gayā

    kaifiyatoñ se gardish-e-chashm-e-butāñ dil

    shīsha kabhī banā kabhī paimāna ho gayā

    tuġhyānī-e-sarashk se apnī bhī ba.ad-e-qais

    dariyā paaT dāman-e-vīrāna ho gayā

    zanjīr kyuuñ na us qasam-bos ho bhalā

    jo koī tere ishaq meñ dīvāna ho gayā

    yaañ tak kiyā hai shohra-e-āfāq ishq ne

    qissa mirā bhī ḳhalq meñ afsāna ho gayā

    kyā roiye ḳharābī-e-aqlīm-e-dil ko dekh

    āñkhoñ ke dekhte to kyā kyā na ho gayā

    saaqī kidhar phire hai tanhā ba-rañg-e-jām

    tujh bin ḳharāb in dinoñ mai-ḳhāna ho gayā

    dil jalwa-gah-esurat-e-jaanana ho gaya

    shisha ye ek dam mein pari-KHana ho gaya

    shab kyun ki saltanat na kare taj zar se shama

    rashk-e-par-e-huma par-e-parwana ho gaya

    kaifiyaton se gardish-e-chashm-e-butan ki dil

    shisha kabhī bana kabhī paimana ho gaya

    tughyani-e-sarashk se apni bhi baad-e-qais

    dariya ka paT daman-e-virana ho gaya

    zanjir kyun na us ki qasam-bos ho bhala

    jo koi tere ishaq mein diwana ho gaya

    yan tak kiya hai shohra-e-afaq ishq ne

    qissa mera bhi KHalq mein afsana ho gaya

    kya roiye KHarabi-e-aqlim-e-dil ko dekh

    aankhon ke dekhte hi to kya kya na ho gaya

    saqi kidhar phire hai tu tanha ba-rang-e-jam

    tujh bin KHarab in dinon mai-KHana ho gaya

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 173)
    • Author : Shah Naseer
    • Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now