dil ko main aaj nasehan usko diya jo ho so ho
dil ko main aaj nasehan usko diya jo ho so ho
Meer Muhammad Bedar
MORE BYMeer Muhammad Bedar
dil ko maiñ aaj nāsehāñ us ko diyā jo ho so ho
raah meñ ishq ke qadam ab to rakhā jo ho so ho
āshiq-e-jāñ-nisār ko ḳhauf nahīñ hai marg kā
terī taraf se ai sanam jaur-o-jafā jo ho so ho
yā tire paañv meñ lage yā mile ḳhaak meñ tamām
dil ko maiñ ḳhuuñ kar chukā misl-e-hinā jo ho so ho
ḳhvāh kare vafā-o-mehr ḳhvāh kare jafā-o-jaur
dilbar-e-shoḳh-o-shañg se ab to milā jo ho so ho
yā vo uThā de mehr se yā kare teġh se judā
yaar ke aaj paañv par sar ko dharā jo ho so ho
dil ko main aaj nasehan us ko diya jo ho so ho
rah mein ishq ke qadam ab to rakha jo ho so ho
aashiq-e-jaan-nisar ko KHauf nahin hai marg ka
teri taraf se ai sanam jaur-o-jafa jo ho so ho
ya tere panw mein lage ya mile KHak mein tamam
dil ko main KHun kar chuka misl-e-hina jo ho so ho
KHwah kare wafa-o-mehr KHwah kare jafa-o-jaur
dilbar-e-shoKH-o-shang se ab to mila jo ho so ho
ya wo uTha de mehr se ya kare tegh se juda
yar ke aaj panw par sar ko dhara jo ho so ho
- Book : Diwan-e-Bedar edited: Jalil Ahmad Qidwai (Pg. 75)
- Author : Meer Mohammad 'Bedar'
- Publication : Hindustani Academy, Allahabad (1937)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.