dil ko shisha kahun aankhon ko main paimana kahun
dil ko shīsha kahūñ āñkhoñ ko maiñ paimāna kahūñ
aap mai-ḳhāna banūñ phir tujhe mai-ḳhāna kahūñ
paa.e saaqī se hai sābit qadmīñ hastī meñ
sajda-e-shukr ko maiñ laġhzish-e-mastāna kahūñ
ek hī aag hai do naam se do samt lagī
sho.al-e-sham.a ko soz-e-dil-e-parvāna kahūñ
ḳhalq-saudā-zāda-e-dair-o-haram hai lekin
hai koī in meñ jise maiñ terā dīvāna kahūñ
kuchh bhī dekhā na gayā dekhne vāloñ se 'zhīn'
kyuuñ na jalvoñ ko ruḳh-e-jānā kahūñ
dil ko shisha kahun aankhon ko main paimana kahun
aap mai-KHana banun phir tujhe mai-KHana kahun
pae saqi se hai sabit qadmin hasti mein
sajda-e-shukr ko main laghzish-e-mastana kahun
ek hi aag hai do nam se do samt lagi
shoal-e-shama ko soz-e-dil-e-parwana kahun
KHalq-sauda-zada-e-dair-o-haram hai lekin
hai koi in mein jise main tera diwana kahun
kuchh bhi dekha na gaya dekhne walon se 'zhin'
kyun na jalwon ko ruKH-e-jaana kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.