dil le ke puchhte ho ki dildar kaun hai
dil le ke pūchhte ho ki dildār kaun hai
ham kis tarh kaheñ ki tarh-dār kaun hai
vīrān dil ko dekhte haiñ dam-ba-dam fuzūñ
maqdūr kyā hai kahiye sitamgār kaun hai
kahtā hai fahm zāhir-o-mazhar to ek hai
phir kahiye is jahāñ meñ numūdār kaun hai
baḳhshe jo dil kī zindagī aur mustame' ko diid
aise kalām-e-pāk se be-zār kaun hai
be-dast-o-pāñv jaate haiñ lākhoñ hī jis ke saath
baare kaho ye qāfila-sālār kaun hai
rindī-o-mastī shauq se kar 'ishq' ham se sun
jab vo huā ġhafūr gunahgār kaun hai
dil le ke puchhte ho ki dildar kaun hai
hum kis tarh kahen ki tarh-dar kaun hai
viran dil ko dekhte hain dam-ba-dam fuzun
maqdur kya hai kahiye sitamgar kaun hai
kahta hai fahm zahir-o-mazhar to ek hai
phir kahiye is jahan mein numudar kaun hai
baKHshe jo dil ki zindagi aur mustame' ko did
aise kalam-e-pak se be-zar kaun hai
be-dast-o-panw jate hain lakhon hi jis ke sath
bare kaho ye qafila-salar kaun hai
rindi-o-masti shauq se kar 'ishq' hum se sun
jab wo hua ghafur gunahgar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.