Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai

Hasrat Mohani

dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai

Hasrat Mohani

dil meñ kyā kyā havas-e-dīd baḌhā.ī na ga.ī

rū-ba-rū un ke magar aañkh uThā.ī na ga.ī

ham razā sheva haiñ tāvīl-e-sitam ḳhud kar leñ

kyā huā un se agar baat banā.ī na ga.ī

ye bhī ādāb-e-mohabbat ne gavārā na kiyā

un tasvīr bhī āñkhoñ se lagā.ī na ga.ī

aah vo aañkh jo har samt rahī sā.iqa-pāsh

vo jo mujh se kisī unvān milā.ī na ga.ī

ham se pūchhā na gayā nām-o-nishāñ bhī un

justujū koī tamhīd uThā.ī na ga.ī

dil ko thā hausla-e-arz-e-tamannā so unheñ

sarguzasht-e-shab-e-hijrāñ bhī sunā.ī na ga.ī

ġham-e-dūrī ne kashākash to bahut lekin

yaad un dil-e-hasrat se bhulā.ī na ga.ī

dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai

ru-ba-ru un ke magar aankh uThai na gai

hum raza shewa hain tawil-e-sitam KHud kar len

kya hua un se agar baat banai na gai

ye bhi aadab-e-mohabbat ne gawara na kiya

un ki taswir bhi aankhon se lagai na gai

aah wo aankh jo har samt rahi saiqa-pash

wo jo mujh se kisi unwan milai na gai

hum se puchha na gaya nam-o-nishan bhi un ka

justuju ki koi tamhid uThai na gai

dil ko tha hausla-e-arz-e-tamanna so unhen

sarguzasht-e-shab-e-hijran bhi sunai na gai

gham-e-duri ne kashakash to bahut ki lekin

yaad un ki dil-e-hasrat se bhulai na gai

Source :
  • Book : Deewan-e-Hasrat
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now