dil ne to ulfat-e-pinhan ko na asla khola
dil ne to ulfat-e-pinhāñ ko na aslā kholā
chashm-e-tar tū ne merā haif ye pardā kholā
aah kuchh ham ko na thī fursat-e-yak-dam kī ḳhabar
ai habāb-e-lab-e-jū tū ne ye uqdā kholā
band band us kī judā kiije yahī hai jī meñ
jān-e-man band-e-qabā jis ne tumhārā kholā
sar-e-ushshāq pe kyūñkar na balā nāzil ho
tū ne ai rashk-e-parī shaam ko joḌā kholā
qaid-e-ulfat meñ vo hai chiiñ ki qumrī ne aah
apnī gardan kā na minqār se phandā kholā
kaT gayā panja-e-mehr-e-shafaq ālūd-e-sahar
tū ne kyā dast-e-hinā-basta-e-nigārā kholā
ye bhī qismat kā likhā apnī ki us ne yaaro
le ke ḳhat haath se qāsid kī na merā kholā
dil ne to ulfat-e-pinhan ko na asla khola
chashm-e-tar tu ne mera haif ye parda khola
aah kuchh hum ko na thī fursat-e-yak-dam ki KHabar
ai habab-e-lab-e-ju tu ne ye uqda khola
band band us ki juda kije yahī hai ji mein
jaan-e-man band-e-qaba jis ne tumhaara khola
sar-e-ushshaq pe kyunkar na bala nazil ho
tu ne ai rashk-e-pari sham ko joDa khola
qaid-e-ulfat mein wo hai chin ki qumri ne aah
apnī gardan ka na minqar se phanda khola
kaT gaya panja-e-mehr-e-shafaq aalud-e-sahar
tu ne kya dast-e-hina-basta-e-nigara khola
ye bhi qismat ka likha apni ki us ne yaro
le ke KHat hath se qasid ki na mera khola
- Book : Intikhab-e-Kulliyat-e-Shah Naseer, Edited: Hafiz Mohammad Akbar (Pg. 19)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Aalaa Pres Merath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.