Sufinama

dil salāmat agar apnā hai to dildār bahut

Meer Muhammad Bedar

dil salāmat agar apnā hai to dildār bahut

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    dil salāmat agar apnā hai to dildār bahut

    hai ye vo jins ki jis ke haiñ ḳharīdār bahut

    ek maiñ tire kūche meñ nahīñ huuñ betāb

    sar paTakte haiñ ḳhabar le pas-e-dīvār bahut

    dekhiye kis ke lage haath tirā gauhar-e-vasl

    is tamannā meñ to phirte haiñ talabgār bahut

    kahīñ nargis ko magar ne dikhā.īñ āñkheñ

    nahīñ bachte nazar aate haiñ ye bīmār bahut

    kyā karūñ kis se kahūñ haal kidhar ko jā.ūñ

    tañg aayā huuñ tire haath se dildār bahut

    apne āshiq se kiyā pūchho to kaise ye sulūk

    aur bhī shahr meñ haiñ tujh se trahdār bahut

    tire aate to koī phuul na hogā sarsabz

    kyā huā baaġh meñ go phūle the gulzār bahut

    ek din tujh ko dikhā.ūñgā maiñ in ḳhūbāñ ko

    dāvā-e-yūsufī karte to haiñ iz.hār bahut

    jurm-e-bosa pe jo 'bedār' ko maarā maarā

    na karo jaane do is baat pe takrār bahut

    dil salāmat agar apnā hai to dildār bahut

    hai ye wo jins ki jis ke haiñ ḳharīdār bahut

    ek maiñ tere kūche meñ nahīñ huñ betāb

    sar paTakte haiñ ḳhabar le pas-e-dīwār bahut

    dekhiye kis ke lage hath tirā gauhar-e-wasl

    is tamannā meñ to phirte haiñ talabgār bahut

    kahīñ nargis ko magar ne dikhāīñ āñkheñ

    nahīñ bachte nazar aate haiñ ye bīmār bahut

    kyā karūñ kis se kahūñ haal kidhar ko jāūñ

    tañg aayā huñ tere hath se dildār bahut

    apne āshiq se kiyā pūchho to kaise ye sulūk

    aur bhī shahr meñ haiñ tujh se trahdār bahut

    tere aate to koī phul na hogā sarsabz

    kyā huā baġh meñ go phūle the gulzār bahut

    ek din tujh ko dikhāūñgā maiñ in ḳhūbāñ ko

    dāwā-e-yūsufī karte to haiñ izhār bahut

    jurm-e-bosa pe jo 'bedār' ko marā marā

    na karo jaane do is baat pe takrār bahut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now