dil se puchha tu kahan hai to kaha tujh kun kya
dil se puchha tu kahan hai to kaha tujh kun kya
Meer Muhammad Bedar
MORE BYMeer Muhammad Bedar
dil se pūchhā tū kahāñ hai to kahā tujh kuuñ kyā
kis kī zulfoñ meñ nihāñ hai to kahā tujh kuuñ kyā
chashm-e-giryāñ se shab-e-vasl meñ pūchhā maiñ ne
ab tū kyuuñ ashk-fishāñ hai to kahā tujh kuuñ kyā
jab kahā maiñ ne ki niiñ bolte ho gaalī bin
jaan ye kaun zabāñ hai to kahā tujh kuuñ kyā
kahne laagā dil-e-gum-gashta tirā hai mujh paas
jab kahā maiñ ne kahāñ hai to kahā tujh kuuñ kyā
jab kahā maiñ ne ki ai jaan tirī sūrat par
shefta pīr-o-javāñ hai to kahā tujh kuuñ kyā
jab kahā maiñ ne ki ai sarv-e-riyāz-e-ḳhūbī
kis kā tū āfat-e-jāñ hai to kahā tujh kuuñ kyā
dil se 'bedār' ne pūchhā ki tire siine par
kis ke nāvak kā nishāñ hai to kahā tujh kuuñ kyā
dil se puchha tu kahan hai to kaha tujh kun kya
kis ki zulfon mein nihan hai to kaha tujh kun kya
chashm-e-giryan se shab-e-wasl mein puchha main ne
ab tu kyun ashk-fishan hai to kaha tujh kun kya
jab kaha main ne ki nin bolte ho gali bin
jaan ye kaun zaban hai to kaha tujh kun kya
kahne laga dil-e-gum-gashta tera hai mujh pas
jab kaha main ne kahan hai to kaha tujh kun kya
jab kaha main ne ki ai jaan teri surat par
shefta pir-o-jawan hai to kaha tujh kun kya
jab kaha main ne ki ai sarw-e-riyaz-e-KHubi
kis ka tu aafat-e-jaan hai to kaha tujh kun kya
dil se 'bedar' ne puchha ki tere sine par
kis ke nawak ka nishan hai to kaha tujh kun kya
- Book : Diwan-e-Bedar Edited: Mohammad Husain Mahwi (Pg. 17)
- Author : Meer Mohammad 'Bedar'
- Publication : Shahi Press Tizlipkian, Madras (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.