dil tujhe hath laga haye ye kya mashghula
dil tujhe hath laga haye ye kya mashghula
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
dil tujhe haath lagā haaye ye kyā mashġhūlā
yaad meñ ik but-e-kāfir ke ḳhudā ko bhūlā
mujh ko hargiz ye ḳhush aatī nahīñ phūloñ kī baas
ai sabā sarv-e-gul-andām kī mere bolā
dil to lagtā nahīñ hai yaar mirā kyā kījiye
bulbul uḌ jā tū na kah mujh se chaman tū phūlā
hijr se maiñ tah-o-bālā ho khaḌā rotā huuñ
gaate haiñ sāvan aur jhūlte haiñ sab jhūlā
zard-rū nargis-e-shahlā ko kare kyuuñ na 'turāb'
zard poshāk jo pahne vo parī-rū dolā
dil tujhe hath laga haye ye kya mashghula
yaad mein ek but-e-kafir ke KHuda ko bhula
mujh ko hargiz ye KHush aati nahin phulon ki bas
ai saba sarw-e-gul-andam ki mere bola
dil to lagta nahin hai yar mera kya kijiye
bulbul uD ja tu na kah mujh se chaman tu phula
hijr se main tah-o-baala ho khaDa rota hun
gate hain sawan aur jhulte hain sab jhula
zard-ru nargis-e-shahla ko kare kyun na 'turab'
zard poshak jo pahne wo pari-ru dola
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.