dil tujhe kaisi be-qarari hai
dil tujhe kaisī be-qarārī hai
kis ke aane kī intizārī hai
kabhī us ne tujhe na yaad kiyā
tujh ko yuuñ jis kī yādgārī hai
ġhair ke ghar vo aa ke baiTh rahā
ye bhī koī rāh-o-rasm-e-yārī hai
muñh se qāsid ke sun ke ḳhush-ḳhabarī
vasl kī phir umīd-vārī hai
kah do us se na dekhe jeTh kī raah
māh-e-baisākh ham pe bhārī hai
na huī hogī yuuñ kisī kī 'turāb'
ġham se jo kaifiyat hamārī hai
dil tujhe kaisi be-qarari hai
kis ke aane ki intizari hai
kabhi us ne tujhe na yaad kiya
tujh ko yun jis ki yaadgari hai
ghair ke ghar wo aa ke baiTh raha
ye bhi koi rah-o-rasm-e-yari hai
munh se qasid ke sun ke KHush-KHabari
wasl ki phir umid-wari hai
kah do us se na dekhe jeTh ki rah
mah-e-baisakh hum pe bhaari hai
na hui hogi yun kisi ki 'turab'
gham se jo kaifiyat hamari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.