dil yahan bhi mubtala-e-zulf-e-pechan ho gaya
dil yahāñ bhī mubtalā-e-zulf-e-pechāñ ho gayā
ḳhanā-e-ahbāb bhī 'aughaT' ko zindāñ ho gayā
phañs gayā dil ek tifl-e-mahjabīñ ke daam meñ
jis ko ham daanā samajhte the vo nādāñ ho gayā
sab dar-o-dīvār vahshat-nāk aate haiñ nazar
ham ko ai majnūñ hamārā ghar bayābāñ ho gayā
vo rahe āñkhoñ meñ merī maiñ na dekhūñ ġhair ko
ye hamāre aur un ke ahd-o-paimāñ ho gayā
sañg-bosī kī haram meñ shaiḳh ne to hai savāb
ham agar bosa butoñ kā leñ to isyāñ ho gayā
jab koī saḳhtī paḌī aur ham ne yā-'vāris' kahā
kaam jo mushkil nazar aatā thā āsāñ ho gayā
hai ḳhudā ki shaan 'aughaT' sā musalmāñ aadmī
un butoñ kī yād-e-ulfat meñ bad-īmāñ ho gayā
dil yahan bhi mubtala-e-zulf-e-pechan ho gaya
KHana-e-ahbab bhi 'aughaT' ko zindan ho gaya
phans gaya dil ek tifl-e-mahjabin ke dam mein
jis ko hum dana samajhte the wo nadan ho gaya
sab dar-o-diwar wahshat-nak aate hain nazar
hum ko ai majnun hamara ghar bayaban ho gaya
wo rahe aankhon mein meri main na dekhun ghair ko
ye hamare aur un ke ahd-o-paiman ho gaya
sang-bosi ki haram mein shaiKH ne to hai sawab
hum agar bosa buton ka len to isyan ho gaya
jab koi saKHti paDi aur hum ne ya-'waris' kaha
kaam jo mushkil nazar aata tha aasan ho gaya
hai KHuda ki shan 'aughaT' sa musalman aadmi
un buton ki yaad-e-ulfat mein bad-iman ho gaya
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 26)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.