diye saqi ne mujhko chand jam aahista aahista
diye saaqī ne mujh ko chand jaam āhista āhista
huā ye daur-e-mai āḳhir tamām āhista āhista
kare gar koī yūsuf ho ke zindāñ meñ shakebā.ī
azīz-e-misr ho us kā ġhulām āhista āhista
adab se sar jhukā kar qāsid us ke rū-ba-rū jaanā
nihāyat shauq se kahnā payām āhista āhista
taraqqī hotī jaatī hai agar vāqif na ho sālik
chale manzil to paatā hai maqām āhista āhista
'azīz'-e-ḳhasta-jāñ se kuchh ilāqa un ko hai be-shak
liyā karte haiñ zer-e-lab ye naam āhista āhista
diye saqi ne mujh ko chand jam aahista aahista
hua ye daur-e-mai aaKHir tamam aahista aahista
kare gar koi yūsuf ho ke zindan mein shakebai
aziz-e-misr ho us ka ghulam aahista aahista
adab se sar jhuka kar qasid us ke ru-ba-ru jaana
nihayat shauq se kahna payam aahista aahista
taraqqi hoti jati hai agar waqif na ho salik
chale manzil to pata hai maqam aahista aahista
'aziz'-e-KHasta-jaan se kuchh ilaqa un ko hai be-shak
liya karte hain zer-e-lab ye nam aahista aahista
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 32-33)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.