Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

diye usne auron ko saghar pe saghar

Aafaq Banarasi

diye usne auron ko saghar pe saghar

Aafaq Banarasi

MORE BYAafaq Banarasi

    diye us ne auroñ ko sāġhar pe sāġhar

    chubho.e mire dil meñ nashtar pe nashtar

    marīz-e-mohabbat hai ab ye hālat

    ki aate haiñ har vaqt chakkar pe chakkar

    mirī saḳht jaanī ġhazab rañg laa.ī

    hue kund qātil ke ḳhanjar pe ḳhanjar

    karam hai ye saaqī dariyā-dilī

    mile mujh ko bhar-bhar ke sāġhar pe sāġhar

    chaḌhāte haiñ teyorī dikhāte haiñ āñkheñ

    chubhote haiñ dil meñ vo nashtar pe nashtar

    tirī justujū meñ mah-o-mehr donoñ

    lagāte haiñ din raat chakkar pe chakkar

    muqābil huā un chitvan se jab dil

    paḌe tiir par tiir ḳhanjar pe ḳhanjar

    nigāhoñ ne dil meñ chubhoī haiñ chhuriyāñ

    adāoñ ne maare haiñ ḳhanjar pe ḳhanjar

    na sarkā sar us dar se 'āfāq' hargiz

    lagā kar use laakh Thokar pe Thokar

    diye us ne auron ko saghar pe saghar

    chubhoe mere dil mein nashtar pe nashtar

    mariz-e-mohabbat ki hai ab ye haalat

    ki aate hain har waqt chakkar pe chakkar

    meri saKHt jaani ghazab rang lai

    hue kund qatil ke KHanjar pe KHanjar

    karam hai ye saqi ki dariya-dili ka

    mile mujh ko bhar-bhar ke saghar pe saghar

    chaDhate hain teyori dikhate hain aankhen

    chubhote hain dil mein wo nashtar pe nashtar

    teri justuju mein mah-o-mehr donon

    lagate hain din raat chakkar pe chakkar

    muqabil hua un ki chitwan se jab dil

    paDe tir par tir KHanjar pe KHanjar

    nigahon ne dil mein chubhoi hain chhuriyan

    adaon ne mare hain KHanjar pe KHanjar

    na sarka sar us dar se 'afaq' hargiz

    laga kar use lakh Thokar pe Thokar

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 59)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now