do ghunT piwe shaiKH agar tu sharab ke
do ghūñT piive shaiḳh agar tū sharāb ke
uTh jaa.eñ yak-ba-yak abhī parde hijāb ke
lohū ke āñsuoñ se rulātā hai dam-ba-dam
gun pūchhte ho kyā dil-e-ḳhāna-ḳharāb ke
partav jo tere chehre kā dariyā meñ jā paḌā
rote hī rote bah ga.e diide habāb ke
is māh-rū ke mehr par maġhrūr tū na ho
chakkhe nahīñ maze abhī dil ke kabāb ke
ḳhūbāñ se 'ishq' chun liyā apne harīf ko
dīvāne kyuuñ na hoveñ tire intiḳhāb ke
do ghunT piwe shaiKH agar tu sharab ke
uTh jaen yak-ba-yak abhi parde hijab ke
lohu ke aansuon se rulata hai dam-ba-dam
gun puchhte ho kya dil-e-KHana-KHarab ke
partaw jo tere chehre ka dariya mein ja paDa
rote hi rote bah gae dide habab ke
is mah-ru ke mehr par maghrur tu na ho
chakkhe nahin maze abhi dil ke kabab ke
KHuban se 'ishq' chun liya apne harif ko
diwane kyun na howen tere intiKHab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.