donon jaanib agar aarzu wasl ki koi tufan uThae to main kya karun
donon jaanib agar aarzu wasl ki koi tufan uThae to main kya karun
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
donoñ jānib agar aarzū vasl kī koī tūfāñ uThā.e to maiñ kyā karūñ
ishq unheñ gudgudā.e to vo kyā kareñ husn mujh ko bulā.e to maiñ kyā karūñ
jāntā huuñ ye ulfat ik āzār hai dil lagā.e vo jo jaañ se bezār hai
merī nazroñ meñ dil meñ samā kar koī apnī nagrī basā.e to maiñ kyā karūñ
chāhtā thā maiñ ka.aba meñ jā kar rahūñ rāt-o-din bāb-e-rahmat pe sajde karūñ
jism meñ ruuh meñ har rag-o-pai meñ vo ḳhud hī aa kar samā.e to maiñ kyā karūñ
vā.izā baat tū ne pate kī kahī laḌkhaḌāyā vahī duḳht-e-raz jis ne pī
mast nazreñ uThā kar sar-e-bazm vo jām-e-ulfat pilā.e to maiñ kyā karūñ
dīn-o-īmāñ kyā aur kyā hai dharm khol diyā ab to nām-e-ḳhudā ne bharam
chashm-e-murshid ne kī aisī jādūgarī kuchh bhī mujh ko na bhaa.e to maiñ kyā karūñ
sar jhukā duuñ yahāñ tū ne sach hī kahā ye haiñ ulfat ke ādāv-o-rasm-e-vafā
dekh kar rū-e-jānāñ magar nāsehā hosh mujh ko na aa.e to maiñ kyā karūñ
mil gayā raah meñ mujh ko jab vo sanam laakh dil ko sambhālā kiyā zabt-e-ġham
dil meñ hasrat liye chand aañsū magar daf.atan muskurā.e to maiñ kyā karūñ
aap haiñ ibtidā aap haiñ intihā ai vasī-e-nabī ai alī-murtazā
kufr hai jāntā huuñ ye kahnā magar jab yaqīñ dil ko aa.e to maiñ kyā karūñ
kis ko sajde karūñ kis kī puujā karūñ apne hī naam kī kyuuñ na maalā japūñ
manzil-e-ishq par aa ke jab aadmī aks apnā hī paa.e to maiñ kyā karūñ
ilm aur fazl ke dīn-o-īmān ke aql par merī 'kāvish' the parde paḌe
saare parde uThā kar koī ab mujhe apnā jalva dikhā.e to maiñ kyā karūñ
donon jaanib agar aarzu wasl ki koi tufan uThae to main kya karun
ishq unhen gudgudae to wo kya karen husn mujh ko bulae to main kya karun
jaanta hun ye ulfat ek aazar hai dil lagae wo jo jaan se bezar hai
meri nazron mein dil mein sama kar koi apnī nagri basae to main kya karun
chahta tha main kaba mein ja kar rahun raat-o-din bab-e-rahmat pe sajde karun
jism mein ruh mein har rag-o-pai mein wo KHud hi aa kar samae to main kya karun
waiza baat tu ne pate ki kahi laDkhaDaya wahi duKHt-e-raz jis ne pi
mast nazren uTha kar sar-e-bazm wo jam-e-ulfat pilae to main kya karun
din-o-iman kya aur kya hai dharm khol diya ab to nam-e-KHuda ne bharam
chashm-e-murshid ne ki aisi jadugari kuchh bhi mujh ko na bhae to main kya karun
sar jhuka dun yahan tu ne sach hi kaha ye hain ulfat ke aadaw-o-rasm-e-wafa
dekh kar ru-e-jaanan magar naseha hosh mujh ko na aae to main kya karun
mil gaya rah mein mujh ko jab wo sanam lakh dil ko sambhaala kiya zabt-e-gham
dil mein hasrat liye chand aansu magar dafatan muskurae to main kya karun
aap hain ibtida aap hain intiha ai wasi-e-nabi ai ali-murtaza
kufr hai jaanta hun ye kahna magar jab yaqin dil ko aae to main kya karun
kis ko sajde karun kis ki puja karun apne hi nam ki kyun na mala japun
manzil-e-ishq par aa ke jab aadmi aks apna hi pae to main kya karun
ilm aur fazl ke din-o-iman ke aql par meri 'kawish' the parde paDe
sare parde uTha kar koi ab mujhe apna jalwa dikhae to main kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.