ye idhar ki bhi udhar ki bhi KHabar rakhte hain
ye idhar kī bhī udhar kī bhī ḳhabar rakhte haiñ
sirf nazdīk nahīñ kosoñ nazar rakhte haiñ
ḳhanjar-o-teġh kī un ko to zarūrat hī nahīñ
apne kirdār se duniyā pe asar rakhte haiñ
nisbatī ḳhushbū milī jab se gul-e-nashtar kī
tab se ḳhushbū se bharī shām-o-sahar rakhte haiñ
apne aiboñ pe nazar jaatī nahīñ hai lekin
saare ilzām zamāne ke hī sar rakhte haiñ
ye jahāñ yuuñ hī masīhā nahīñ kahtā hai unheñ
saikḌoñ chāragaroñ kā ye hunar rakhte haiñ
baat donoñ kī yaqīnan hī banegī yaaro
husn tum rakhte ho ham husn-e-nazar rakhte haiñ
ye bhī aulād-e-alī kī hī 'ziyā' kā hai asar
ham añdheroñ se bhī laḌne kā jigar rakhte haiñ
ye idhar ki bhi udhar ki bhi KHabar rakhte hain
sirf nazdik nahin koson nazar rakhte hain
KHanjar-o-tegh ki un ko to zarurat hi nahin
apne kirdar se duniya pe asar rakhte hain
nisbati KHushbu mili jab se gul-e-nashtar ki
tab se KHushbu se bhari sham-o-sahar rakhte hain
apne aibon pe nazar jati nahin hai lekin
sare ilzam zamane ke hi sar rakhte hain
ye jahan yun hi masiha nahin kahta hai unhen
saikDon chaaragaron ka ye hunar rakhte hain
baat donon ki yaqinan hi banegi yaro
husn tum rakhte ho hum husn-e-nazar rakhte hain
ye bhi aulad-e-ali ki hi 'ziya' ka hai asar
hum andheron se bhi laDne ka jigar rakhte hain
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 336)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.