zamin ke sar pe khula aasman rahne de
zamīñ ke sar pe khulā āsmān rahne de
ḳhudā ke vāste amn-o-amān rahne de
tū chāhe chhīn le daulat sabhī mire bhaa.ī
mohabbatoñ ko magar darmiyān rahne de
tamām raat kā jaagā huā hai ye jugnū
thakān kahtī hai ab ye uḌaan rahne de
tujhe ye taaj mahal shah-e-jahāñ mubārak ho
mirā ye sāmne kachchā makān rahne de
maiñ bad-gumānī kisī se ravā nahīñ rakhtā
vo bad-gumāñ hai to phir bad-gumān rahne de
maiñ is se baḌh ke duā aur kyā ḳhudā māñgūñ
harā-bharā ye mirā ḳhāndān rahne de
diloñ ko paḌhne kī 'ādat nahīñ rahī 'jāved'
tū apne qaabū meñ apnī zabān rahne de
zamin ke sar pe khula aasman rahne de
KHuda ke waste amn-o-aman rahne de
tu chahe chhin le daulat sabhi mere bhai
mohabbaton ko magar darmiyan rahne de
tamam raat ka jaga hua hai ye jugnu
thakan kahti hai ab ye uDan rahne de
tujhe ye taj mahal shah-e-jahan mubarak ho
mera ye samne kachcha makan rahne de
main bad-gumani kisi se rawa nahin rakhta
wo bad-guman hai to phir bad-guman rahne de
main is se baDh ke dua aur kya KHuda mangun
hara-bhara ye mera KHandan rahne de
dilon ko paDhne ki 'adat nahin rahi 'jawed'
tu apne qabu mein apni zaban rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.