kaliyon ke dahan baad-e-saba khol rahi hai
kaliyoñ ke dahan bād-e-sabā khol rahī hai
ye tez havā aaj bahut bol rahī hai
mahfil meñ nazar jaane kidhar paḌ ga.ī merī
kashtī ye mire dil kī bahut Dol rahī hai
nīñdoñ ko tire naam jo mansūb karūñ to
ḳhvāboñ kī parī uḌne ko par taul rahī hai
maġhrūr na hojāye kahīñ un kā tabassum
ye shai bhī ghaḌī bhar kī jo anmol rahī hai
tasvīr tirī dekhne vāloñ ne kahā hai
ḳhāmosh haiñ lab aur nazar bol rahī hai
'jāved' nigāhoñ se vo ojhal to hai lekin
āvāz magar kānoñ meñ ras ghol rahī hai
kaliyon ke dahan baad-e-saba khol rahi hai
ye tez hawa aaj bahut bol rahi hai
mahfil mein nazar jaane kidhar paD gai meri
kashti ye mere dil ki bahut Dol rahi hai
nindon ko tere nam jo mansub karun to
KHwabon ki pari uDne ko par taul rahi hai
maghrur na hojaye kahin un ka tabassum
ye shai bhi ghaDi bhar ki jo anmol rahi hai
taswir teri dekhne walon ne kaha hai
KHamosh hain lab aur nazar bol rahi hai
'jawed' nigahon se wo ojhal to hai lekin
aawaz magar kanon mein ras ghol rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.