wo KHwabon se manzar suhane lage hain
vo ḳhvāboñ se manzar suhāne lage haiñ
samundar meñ dariyā nahāne lage haiñ
sharāfat matānat amānat diyānat
ye dastūr saare purāne lage haiñ
mirī aarzū ko nichoḌā jo us ne
to kuchh hosh mere Thikāne lage haiñ
tū hī kuchh batā ai mirī zindagī ab
tire naaz ham kyuuñ uThāne lage haiñ
sharāfat kahāñ gum huī tū na jaane
tujhe pālne ik zamāne lage haiñ
kareñ bhī to kis kis kā ham e'tibār ab
baḌe ḳhud-ġharaz dostāne lage haiñ
ujāloñ kī ḳhairāt ham ko na dījiye
añdhere hameñ raas aane lage haiñ
ḳhayāloñ kī is bhiiḌ meñ in dinoñ ham
ka.ī sher kahne sunāne lage haiñ
use ham ne dekhā hai 'jāved' jab se
taḳhayyul ke par phaḌphaḌā ne lage haiñ
wo KHwabon se manzar suhane lage hain
samundar mein dariya nahane lage hain
sharafat matanat amanat diyanat
ye dastur sare purane lage hain
meri aarzu ko nichoDa jo us ne
to kuchh hosh mere Thikane lage hain
tu hi kuchh bata ai meri zindagi ab
tere naz hum kyun uThane lage hain
sharafat kahan gum hui tu na jaane
tujhe palne ek zamane lage hain
kareñ bhi to kis kis ka hum e'tibar ab
baDe KHud-gharaz dostane lage hain
ujalon ki KHairaat hum ko na dijiye
andhere hamein ras aane lage hain
KHayalon ki is bhiD mein in dinon hum
kai sher kahne sunane lage hain
use hum ne dekha hai 'jawed' jab se
taKHayyul ke par phaDphaDa ne lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.