ai paikar-e-jamal ghazal kah raha hun main
ai paikar-e-jamāl ġhazal kah rahā huuñ maiñ
hokar bahut nihāl ġhazal kah rahā huuñ maiñ
bas ik jhalak ne aap kā dīvāna kar diyā
dil kā burā hai haal ġhazal kah rahā huuñ maiñ
shāne se tere dekh kahīñ ye Dhulak na jaa.e
āñchal zarā sambhāl ġhazal kah rahā huuñ maiñ
shānoñ pe tere zulf ko lahrātā dekh luuñ
kākul bhī kuchh nikāl ġhazal kah rahā huuñ maiñ
saj dhaj ke mere sāmne aayā kaaro na tum
ya.anī bichhā ke jaal ġhazal kah rahā huuñ maiñ
kuchh der aur yūñhī mire sāmne Thahar
ai masdar-e-kHayāl ġhazal kah rahā huuñ maiñ
'jāved' us ke lab ke tabassum kī dil-kashī
kar de na kuchh kamāl ġhazal kah rahā huuñ maiñ
ai paikar-e-jamal ghazal kah raha hun main
hokar bahut nihaal ghazal kah raha hun main
bas ek jhalak ne aap ka diwana kar diya
dil ka bura hai haal ghazal kah raha hun main
shane se tere dekh kahin ye Dhulak na jae
aanchal zara sambhaal ghazal kah raha hun main
shanon pe tere zulf ko lahraata dekh lun
kakul bhi kuchh nikal ghazal kah raha hun main
saj dhaj ke mere samne aaya karo na tum
yani bichha ke jal ghazal kah raha hun main
kuchh der aur yunhi mere samne Thahar
ai masdar-e-kHayal ghazal kah raha hun main
'jawed' us ke lab ke tabassum ki dil-kashi
kar de na kuchh kamal ghazal kah raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.