dariya dariya sahil sahil
dariyā dariyā sāhil sāhil
maujeñ haiñ yā koī qātil
tum ho dil ke raaja lekin
miTTī miTTī merā ye dil
rishtoñ ke ye khel nirāle
saarī duniyā is meñ shāmil
duniyā-dārī siikh na paa.e
ham bhī kitne badhū ġhāfil
dekh na paa.e sūraj hargiz
tāroñ kī ye jhilmil jhilmil
sab kuchh chhoḌ ke jaanā ho to
duniyā tujh ko pākar hāsil
un ko bhī 'jāved' dikhā do
zaḳhmī siina ghā.il ye dil
dariya dariya sahil sahil
maujen hain ya koi qatil
tum ho dil ke raja lekin
miTTi miTTi mera ye dil
rishton ke ye khel nirale
sari duniya is mein shamil
duniya-dari sikh na pae
hum bhi kitne badhu ghafil
dekh na pae suraj hargiz
taron ki ye jhilmil jhilmil
sab kuchh chhoD ke jaana ho to
duniya tujh ko pakar hasil
un ko bhi 'jawed' dikha do
zaKHmi sina ghail ye dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.