Dubone walon ko sharminda kar chuka hunga
Dubone vāloñ ko sharminda kar chukā hūñgā
maiñ Duub kar hī sahī paar utar chukā hūñgā
pahuñch to jā.ūñgā āb-e-hayāt tak lekin
zabāñ bhigone se pahle hī mar chukā hūñgā
sunā.ī jā.egī jab tak mujhe sazā-e-suḳhan
sukūt-e-vaqt meñ āvāz bhar chukā hūñgā
misāl-e-reg huuñ maiñ sā.atoñ kī muTThī meñ
vo jab tak aa.egā saarā bikhar chukā hūñgā
zamāna aa.egā us vaqt ḳhair-maqdam ko
jab is jahāñ se 'muzaffar' guzar chukā hūñgā
Dubone walon ko sharminda kar chuka hunga
main Dub kar hi sahi par utar chuka hunga
pahunch to jaunga aab-e-hayat tak lekin
zaban bhigone se pahle hi mar chuka hunga
sunai jaegi jab tak mujhe saza-e-suKHan
sukut-e-waqt mein aawaz bhar chuka hunga
misal-e-reg hun main saaton ki muTThi mein
wo jab tak aaega sara bikhar chuka hunga
zamana aaega us waqt KHair-maqdam ko
jab is jahan se 'muzaffar' guzar chuka hunga
- Book : Kalam-e-Muzaffar Warsi (Pg. 94)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.