etibar-e-manzil kya zauq-e-justuju hi hai
e'tibār-e-manzil kyā zauq-e-justujū hī hai
kāmyābī-e-dil kyā kaif-e-ārzū hī hai
tark-e-justujū kar ke dil kā mudda.ā paayā
tark-e-justujū lekin faiz-e-justujū hī hai
mai ba-qaid-e-sāġhar hai ham ba-qaid-e-āzādī
kaif-e-soz-e-tanhā.ī sāġhar-o-subū hī hai
aabrū jise kahiye kuchh nahīñ ba-juz pindār
yaañ shikast-e-har pindār apnī aabrū hī hai
tū haqīqat-e-kul hai vahm ġhair-e-bātil hai
balki vahm-e-bātil bhī haq to ye hai tū hī hai
zulf-e-mushkbū kā ġham dil ko vāqif kyuuñ kar le
dil ko jo kare barham zulf-e-mushkbū hī hai
jis jagah nazar Thahre vo hijāb hai us kā
de nazar ko āzādī phir vo rū-ba-rū hī hai
ye fareb-e-taskīñ hai tark-e-ārzū ma.alūm
tark-e-ārzū 'maikash' ye bhī aarzū hī hai
e'tibar-e-manzil kya zauq-e-justuju hi hai
kaamyabi-e-dil kya kaif-e-arzu hi hai
tark-e-justuju kar ke dil ka muddaa paya
tark-e-justuju lekin faiz-e-justuju hi hai
mai ba-qaid-e-saghar hai hum ba-qaid-e-azadi
kaif-e-soz-e-tanhai saghar-o-subu hi hai
aabru jise kahiye kuchh nahin ba-juz pindar
yan shikast-e-har pindar apni aabru hi hai
tu haqiqat-e-kul hai wahm ghair-e-baatil hai
balki wahm-e-baatil bhi haq to ye hai tu hi hai
zulf-e-mushkbu ka gham dil ko waqif kyun kar le
dil ko jo kare barham zulf-e-mushkbu hi hai
jis jagah nazar Thahre wo hijab hai us ka
de nazar ko aazadi phir wo ru-ba-ru hi hai
ye fareb-e-taskin hai tark-e-arzu malum
tark-e-arzu 'maikash' ye bhi aarzu hi hai
- Book : Maikada (Pg. 3)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.