ehtiyaj-e-zindagani aur hai
ehtiyāj-e-zindagānī aur hai
iqtizā-e-āsmānī aur hai
is sarā se kuuch hai vaqt-e-sahar
rāt-bhar kī mehmānī aur hai
ham samajhte haiñ tumhāre dil kī baat
ye zabān-e-be-zabānī aur hai
ġhota-zan hushiyār bahr-e-ishq se
is meñ aage baḌh ke paanī aur hai
phir vo aa jaatā kisī din qabr par
ik nishān-e-be-nishānī aur hai
ārzūoñ meñ baqā-e-umr-e-ḳhizar
sarguzasht-e-dār-e-fānī aur hai
fikr-e-'ġhālib' kyuuñ na ġhālib ham pe ho
'arsh' un kī ḳhush-bayānī aur hai
ehtiyaj-e-zindagani aur hai
iqtiza-e-asmani aur hai
is sara se kuch hai waqt-e-sahar
raat-bhar ki mehmani aur hai
hum samajhte hain tumhaare dil ki baat
ye zaban-e-be-zabani aur hai
ghota-zan hushiyar bahr-e-ishq se
is mein aage baDh ke pani aur hai
phir wo aa jata kisi din qabr par
ek nishan-e-be-nishani aur hai
aarzuon mein baqa-e-umr-e-KHizar
sarguzasht-e-dar-e-fani aur hai
fikr-e-'ghaalib' kyun na ghaalib hum pe ho
'arsh' un ki KHush-bayani aur hai
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 168)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.