sar-e-asman jo nahin sahi to hamin b-ru-e-zamin sahi
sar-e-asman jo nahin sahi to hamin b-ru-e-zamin sahi
Ejaz Hussain Javed
MORE BYEjaz Hussain Javed
sar-e-āsmāñ jo nahīñ sahī to hamīñ b-rū-e-zamīñ sahī
kahīñ chain lene de zindagī jo vahāñ nahīñ to yahīñ sahī
koī bandagī meñ to raaz hai ki ḳhudā ko bande pe naaz hai
kabhī rahmatoñ se na paas ho vo hazār tañg-jabīñ sahī
tire sajde kā hai miTā miTā vo hazār naqsh-e-jabīñ mirā
tirī bandagī kā nishāñ to hai tire hasb-e-hāl nahīñ sahī
sar-e-asman jo nahin sahi to hamin b-ru-e-zamin sahi
kahin chain lene de zindagi jo wahan nahin to yahin sahi
koi bandagi mein to raaz hai ki KHuda ko bande pe naz hai
kabhi rahmaton se na pas ho wo hazar tang-jabin sahi
tere sajde ka hai miTa miTa wo hazar naqsh-e-jabin mera
teri bandagi ka nishan to hai tere hasb-e-haal nahin sahi
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 82)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.