ek jalwe ki hawas wo dam-e-rehlat bhi nahin
ek jalve kī havas vo dam-e-rehlat bhī nahīñ
kuchh mohabbat nahīñ zālim to muravvat bhī nahīñ
yaar se kahiye ki furqat hai to furqat bhī nahīñ
aur nisbat meñ hai tamīz to vaslat bhī nahīñ
us ke kūche meñ kahāñ kashmakash-e-bīm-o-rajā
ḳhauf-e-dozaḳh bhī nahīñ ḳhvāhish-e-jannat bhī nahīñ
chaman-e-sīna-e-pur-dāġh meñ terā jalva
yaar qābil tire gul-gasht ke jannat bhī nahīñ
jo diyā tū ne vo sab tere liye kho baiThī
haañ agar shukr nahīñ hai to shikāyat bhī nahīñ
zauq-e-mastī kī mazammat na kar itnī ai shaiḳh
kyā tujhe nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat bhī nahīñ
ain ma.anī hai vo dil āshiq-e-ma.anī jo huā
haa.e vo log jo dil-dāda-e-sūrat bhī nahīñ
be-niyāzī bhī uThā luuñ maiñ tire naaz kī tarah
kyā vo tāqat na rahī mujh meñ to himmat bhī nahīñ
un ko kis muñh se maiñ nazāragī-e-dost kahūñ
sūrat-e-ā.ina jin āñkhoñ ko hairat bhī nahīñ
kis tarah kahiye ki dīdār dikhāyā us ne
bāġh-e-jannat bhī nahīñ roz-e-qayāmat bhī nahīñ
zohd-o-taqvā-o-islāh dar husn-e-amal
kuchh nahīñ mujh meñ magar kyā tirī rahmat bhī nahīñ
ai tamannā-e-mai-e-aish ye mai-ḳhāna-e-dahr
jā-e-daur-e-mai-e-rañgīnī-e-sohbat bhī nahīñ
jazb-e-kāmil se use khīñch lo ai hazrat-e-dil
kaise darvesh ho kuchh tum meñ karāmat bhī nahīñ
hosh-rafta dam-e-nazzāra ye fariyādī the
haa.e dīdār kī sūrat dam-e-ruḳhsat bhī nahīñ
ḳhāk-bezī-e-rah-e-ishq meñ ye baat chhanī
jis ko zillat nahīñ us ko kabhī izzat bhī nahīñ
kabhī 'āsī' se ham-āġhosh na dekhā tujh ko
asar-e-jazba-e-dil-e-ahl-e-mohabbat bhī nahīñ
ek jalwe ki hawas wo dam-e-rehlat bhi nahin
kuchh mohabbat nahin zalim to murawwat bhi nahin
yar se kahiye ki furqat hai to furqat bhi nahin
aur nisbat mein hai tamiz to waslat bhi nahin
us ke kuche mein kahan kashmakash-e-bim-o-raja
KHauf-e-dozaKH bhi nahin KHwahish-e-jannat bhi nahin
chaman-e-sina-e-pur-dagh mein tera jalwa
yar qabil tere gul-gasht ke jannat bhi nahin
jo diya tu ne wo sab tere liye kho baiThi
han agar shukr nahin hai to shikayat bhi nahin
zauq-e-masti ki mazammat na kar itni ai shaiKH
kya tujhe nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat bhi nahin
ain mani hai wo dil aashiq-e-mani jo hua
hae wo log jo dil-dada-e-surat bhi nahin
be-niyazi bhi uTha lun main tere naz ki tarah
kya wo taqat na rahi mujh mein to himmat bhi nahin
un ko kis munh se main nazaragi-e-dost kahun
surat-e-aina jin aankhon ko hairat bhi nahin
kis tarah kahiye ki didar dikhaya us ne
bagh-e-jannat bhi nahin roz-e-qayamat bhi nahin
zohd-o-taqwa-o-islah dar husn-e-amal
kuchh nahin mujh mein magar kya teri rahmat bhi nahin
ai tamanna-e-mai-e-aish ye mai-KHana-e-dahr
ja-e-daur-e-mai-e-rangini-e-sohbat bhi nahin
jazb-e-kaamil se use khinch lo ai hazrat-e-dil
kaise darwesh ho kuchh tum mein karamat bhi nahin
hosh-rafta dam-e-nazzara ye fariyaadi the
hae didar ki surat dam-e-ruKHsat bhi nahin
KHak-bezi-e-rah-e-ishq mein ye baat chhani
jis ko zillat nahin us ko kabhi izzat bhi nahin
kabhi 'asi' se ham-aghosh na dekha tujh ko
asar-e-jazba-e-dil-e-ahl-e-mohabbat bhi nahin
- Book : Diwan-e-aasi (Pg. 39)
- Author : Aasi Ghazipuri
- Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.