ek KHush-ru se mohabbat ho gai
ek ḳhush-rū se mohabbat ho ga.ī
dil-lagī kī achchhī sūrat ho ga.ī
laakh parda kījiyo hotā hai kyā
aap kī zāhir haqīqat ho ga.ī
ishq-bāzī meñ ye āzādī milī
dīn-o-duniyā se farāġhat ho ga.ī
sunte haiñ vaa.iz ki mai-ḳhāna meñ aaj
rehn dastār-e-fazīlat ho ga.ī
but-parastī kī ḳhudā ko chhoḌ kar
kaisī ulTī apnī qismat ho ga.ī
ham ko kiyā ḳhush-rū jahāñ meñ laakh hoñ
ho ga.ī jis se mohabbat ho ga.ī
lag ga.ī kis kī ḳhudā jaane nazar
kaisī barham apnī sohbat ho ga.ī
us kā bahr-e-ġham se beḌā paar hai
jis pe 'vāris' kī ināyat ho ga.ī
ab gale mil jaao 'aughaT' pyaar se
ho chukā shikva-shikāyat ho ga.ī
ek KHush-ru se mohabbat ho gai
dil-lagi ki achchhi surat ho gai
lakh parda kijiyo hota hai kya
aap ki zahir haqiqat ho gai
ishq-bazi mein ye aazadi mili
din-o-duniya se faraghat ho gai
sunte hain waiz ki mai-KHana mein aaj
rehn dastar-e-fazilat ho gai
but-parasti ki KHuda ko chhoD kar
kaisi ulTi apni qismat ho gai
hum ko kiya KHush-ru jahan mein lakh hon
ho gai jis se mohabbat ho gai
lag gai kis ki KHuda jaane nazar
kaisi barham apni sohbat ho gai
us ka bahr-e-gham se beDa par hai
jis pe 'waris' ki inayat ho gai
ab gale mil jao 'aughaT' pyar se
ho chuka shikwa-shikayat ho gai
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 12)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.