baKHsha hai jo tumne aankhon ko sarmaya-e-shabnam kya hoga
baḳhshā hai jo tum ne āñkhoñ ko sarmāya-e-shabnam kyā hogā
ye daulat-e-hastī kyā hogī ye silsila-e-ġham kyā hogā
bālīñ se zarā haT jaao tum bīmār-e-mohabbat kī ḳhātir
bālīñ pe tumhāre rahne se TuuTā na agar dam kyā hogā
behosh asīr-e-be-kHudī bā-hosh qatīl-e-be-kHabrī
afsāna-e-hastī mub.ham hai ab aur bhī mub.ham kyā hogā
ye zauq-e-tamāshā mahfil meñ laane ko to le aayā 'kaifī'
parde pe nigāheñ ruktī nahīñ dīdār kā a.alam kyā hogā
baKHsha hai jo tum ne aankhon ko sarmaya-e-shabnam kya hoga
ye daulat-e-hasti kya hogi ye silsila-e-gham kya hoga
baalin se zara haT jao tum bimar-e-mohabbat ki KHatir
baalin pe tumhaare rahne se TuTa na agar dam kya hoga
behosh asir-e-be-kHudi ba-hosh qatil-e-be-kHabri
afsana-e-hasti mubham hai ab aur bhi mubham kya hoga
ye zauq-e-tamasha mahfil mein lane ko to le aaya 'kaifi'
parde pe nigahen rukti nahin didar ka aalam kya hoga
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 269)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.