nazar ka nur jigar ka qarar ho jaun
nazar kā nuur jigar kā qarār ho jā.ūñ
vo yār-e-jāñ hai to maiñ jān-e-yār ho jā.ūñ
maiñ apnā rāz-e-mohabbat jo āshkārā karūñ
ḳhirad ke hāthoñ abhī sañgsār ho jā.ūñ
uThā ke qadmoñ se jis ko gale lagāyā thā
vo sochtā hai ki sar par savār ho jā.ūñ
abhī to mujh ko nazar kā shikār karnā hai
abhī se kaise nazar kā shikār ho jā.ūñ
bahut dinoñ se nahīñ aa.ī hai bahār so ab
bahār aa.e to nazr-e-bahār ho jā.ūñ
jahāñ bhī dekhūñ zamāne meñ nafrateñ 'amjad'
diloñ ke biich mohabbat kā taar ho jā.ūñ
nazar ka nur jigar ka qarar ho jaun
wo yar-e-jaan hai to main jaan-e-yar ho jaun
main apna raaz-e-mohabbat jo aashkara karun
KHirad ke hathon abhi sangsar ho jaun
uTha ke qadmon se jis ko gale lagaya tha
wo sochta hai ki sar par sawar ho jaun
abhi to mujh ko nazar ka shikar karna hai
abhi se kaise nazar ka shikar ho jaun
bahut dinon se nahin aai hai bahaar so ab
bahaar aae to nazr-e-bahaar ho jaun
jahan bhi dekhun zamane mein nafraten 'amjad'
dilon ke bich mohabbat ka tar ho jaun
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 34)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.