uski chashm-e-mast se chhalke hai wo sahba-e-hosh
us kī chashm-e-mast se chhalke hai vo sahbā-e-hosh
bante jaate haiñ junūñ ke jaam bhī mīnā-e-hosh
hosh ko behoshiyoñ kā hosh kuchh aatā nahīñ
hosh ko be-hoshiyoñ kā kaash kuchh aa jaa.e hosh
mā.il-e-āsūdgī qais-e-junūñ ko dekh kar
ehtiyātan hosh ke mahmil meñ hai laila-e-hosh
chauñkte haiñ aise un ko dekh kar ahl-e-jamāl
daf’atan jaise kisī behosh ko aa jaa.e hosh
ham nazar apnī bachā kar chal rahe haiñ is liye
vo samajh baiThe haiñ apne aap ko bābā-e-hosh
ban mo'ammā-e-junūñ aisā jo 'amjad' hal na ho
ḳhud ulajh jaa.e agar tujh ko kabhī suljhā.e hosh
us ki chashm-e-mast se chhalke hai wo sahba-e-hosh
bante jate hain junun ke jam bhi mina-e-hosh
hosh ko behoshiyon ka hosh kuchh aata nahin
hosh ko be-hoshiyon ka kash kuchh aa jae hosh
mail-e-asudgi qais-e-junun ko dekh kar
ehtiyatan hosh ke mahmil mein hai laila-e-hosh
chaunkte hain aise un ko dekh kar ahl-e-jamal
daf’atan jaise kisi behosh ko aa jae hosh
hum nazar apni bacha kar chal rahe hain is liye
wo samajh baiThe hain apne aap ko baba-e-hosh
ban mo'amma-e-junun aisa jo 'amjad' hal na ho
KHud ulajh jae agar tujh ko kabhi suljhae hosh
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.