nekon ke bich tere bad-kar hain to hum hain
nekoñ ke biich tere bad-kār haiñ to ham haiñ
terī ināyatoñ ke haqdār haiñ to ham haiñ
jab 'ishq hī na ho to kyā husn kā sañvarnā
dar asl tere ruḳh kā siñghār haiñ to ham haiñ
ajdād kā hai virsa ye zauq-e-shā’irī bhī
is paar haiñ to ham haiñ us paar haiñ to ham haiñ
baiThe haiñ un ke dar par go sar pe ḳhaak Daale
aurañg-zeb-o-shān-e-dastār haiñ to ham haiñ
kahte haiñ ham ġhazal to baḌhtā hai husn us kā
'amjad' kisī kā rañg-e-rukHsār haiñ to ham haiñ
nekon ke bich tere bad-kar hain to hum hain
teri inayaton ke haqdar hain to hum hain
jab 'ishq hi na ho to kya husn ka sanwarna
dar asl tere ruKH ka singhaar hain to hum hain
ajdad ka hai wirsa ye zauq-e-sha’iri bhi
is par hain to hum hain us par hain to hum hain
baiThe hain un ke dar par go sar pe KHak Dale
aurang-zeb-o-shan-e-dastar hain to hum hain
kahte hain hum ghazal to baDhta hai husn us ka
'amjad' kisi ka rang-e-rukHsar hain to hum hain
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 40)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.