wo kahte hain anjam-e-mohabbat hi alag hai
vo kahte haiñ anjām-e-mohabbat hī alag hai
kyā kījiye apnī to tabī'at hī alag hai
kHud-bīñ-o-kHud āgāh koī duur koī paas
ye manzil-e-’irfāñ kī masāfat hī alag hai
hairat se na yuuñ dekh maiñ ā.īna huuñ terā
andāz mirā terī badaulat hī alag hai
sab kuchh jo luTātā hai kamātā hai vo sab kuchh
bāzār-e-mohabbat kī tijārat hī alag hai
hai kaam nazar kā bhī nazar kā bhī nahīñ kaam
ye 'ishq kī nazroñ kī haqīqat hī alag hai
mil baiTh ke dohrāte haiñ mahbūb ke qisse
us husn ke mastoñ kī raqābat hī alag hai
elaan kareñ jis kā nabī mimbar-e-ḳham se
'amjad' mire maulā kī vilāyat hī alag hai
wo kahte hain anjam-e-mohabbat hi alag hai
kya kijiye apni to tabi'at hi alag hai
kHud-bin-o-kHud aagah koi dur koi pas
ye manzil-e-’irfan ki masafat hi alag hai
hairat se na yun dekh main aaina hun tera
andaz mera teri badaulat hi alag hai
sab kuchh jo luTata hai kamata hai wo sab kuchh
bazar-e-mohabbat ki tijarat hi alag hai
hai kaam nazar ka bhi nazar ka bhi nahin kaam
ye 'ishq ki nazron ki haqiqat hi alag hai
mil baiTh ke dohraate hain mahbub ke qisse
us husn ke maston ki raqabat hi alag hai
elan karen jis ka nabi mimbar-e-KHam se
'amjad' mere maula ki wilayat hi alag hai
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.