falak se dad pa ja۔un adalat ho to aisi ho
falak se daad pā jā۔ūñ adālat ho to aisī ho
judā hote haiñ vo ham se qayāmat ho to aisī ho
ruḳh-e-ma.anī dikhā.ī de jo sūrat ho to aisī ho
dil-e-sāf ā.īna ban jaa.e hairat ho to aisī ho
dil-e-be-mudda.ā paayā jo daulat ho to aisī ho
ḳhudā se phir na kuchh māñgā qanā.at ho to aisī ho
mirā har harf niklā sho.ala-zār-e-vādī-e-aiman
bahār-e-rañg-e-jalva-e-tabī.at ho to aisī ho
marūñ bhī ab ki saañs aane kī gunjā.ish nahīñ baaqī
hujūm-e-yās kī siine meñ kasrat ho to aisī ho
ham aise ġharq-e-dariyā-e-gunah jannat meñ jā nikle
tavān-e-latma-e-mauj-e-shafā.at ho to aisī ho
qad-e-ḳham hai garebāñ-gīr kanThā ban ke qātil kā
magar be-tābī-e-zauq-e-shahādat ho to aisī ho
farishte sar jhukā.eñ tere sajda ko tavāzo.a se
sun o miTTī ke putle ādamiyat ho to aisī ho
agar daanā milā paanī na tifl-e-ashk ne māñgā
vahī daanā vahī paanī qanā.at ho to aisī ho
na din-bhar chain aatā hai na niiñd aatī hai rātoñ ko
kisī ke haal par un kī ināyat ho to aisī ho
ta.ajjub hai ki tujh ko apne siine meñ na kyuuñ DhūñDhā
kisī ko apnī hastī se jo ġhaflat ho to aisī ho
dil-e-kāfir kī añdhiyārī ma.āz-allāh ma.āz-allāh
magar tārīkī-e-shab-hā-e-furqat ho to aisī ho
jahāñ milne kī Thahre mujh se maiñ bhī ai sanam gum huuñ
sivā tere na ho koī jo ḳhalvat ho to aisī ho
girā jo qatra-e-ḳhūñ lāla-zār-e-dāġh-e-hasrat hai
magar shādābī-e-rañg-e-shahādat ho to aisī ho
pukārā us ne apnā naam le kar raat 'āsī' ko
nahīñ ab kuchh bhī ġhairiyat mohabbat ho to aisī ho
falak se dad pa ja۔un adalat ho to aisi ho
juda hote hain wo hum se qayamat ho to aisi ho
ruKH-e-mani dikhai de jo surat ho to aisi ho
dil-e-saf aaina ban jae hairat ho to aisi ho
dil-e-be-muddaa paya jo daulat ho to aisi ho
KHuda se phir na kuchh manga qanaat ho to aisi ho
mera har harf nikla shoala-zar-e-wadi-e-aiman
bahaar-e-rang-e-jalwa-e-tabiat ho to aisi ho
marun bhi ab ki sans aane ki gunjaish nahin baqi
hujum-e-yas ki sine mein kasrat ho to aisi ho
hum aise gharq-e-dariya-e-gunah jannat mein ja nikle
tawan-e-latma-e-mauj-e-shafaat ho to aisi ho
qad-e-KHam hai gareban-gir kanTha ban ke qatil ka
magar be-tabi-e-zauq-e-shahadat ho to aisi ho
farishte sar jhukaen tere sajda ko tawazoa se
sun o miTTi ke putle aadamiyat ho to aisi ho
agar dana mila pani na tifl-e-ashk ne manga
wahi dana wahi pani qanaat ho to aisi ho
na din-bhar chain aata hai na nind aati hai raaton ko
kisi ke haal par un ki inayat ho to aisi ho
tajjub hai ki tujh ko apne sine mein na kyun DhunDha
kisi ko apni hasti se jo ghaflat ho to aisi ho
dil-e-kafir ki andhiyari maaz-allah maaz-allah
magar tariki-e-shab-ha-e-furqat ho to aisi ho
jahan milne ki Thahre mujh se main bhi ai sanam gum hun
siwa tere na ho koi jo KHalwat ho to aisi ho
gira jo qatra-e-KHun lala-zar-e-dagh-e-hasrat hai
magar shadabi-e-rang-e-shahadat ho to aisi ho
pukara us ne apna nam le kar raat 'asi' ko
nahin ab kuchh bhi ghairiyat mohabbat ho to aisi ho
- Book : Diwan-e-aasi (Pg. 45)
- Author : Aasi Ghazipuri
- Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.