teri nisbat mera sahaara hai
terī nisbat merā sahārā hai
yahī kashtī yahī kinārā hai
sar to sajde se maiñ uThā letā
kyā karūñ naqsh-e-pā tumhārā hai
vo dar-e-yār hai ḳhudā kī qasam
maiñ ne sajda jahāñ guzārā hai
ai sanam tujh ko pūjne ke liye
maiñ ne dil meñ tujhe utārā hai
vo tire āstāñ pe jā pahuñchā
tū ne jis ko sanam pukārā hai
dil hai mushtāq aa bhī jaao sanam
merī tanhā.ī ne tumheñ pukārā hai
terā dar chhoḌ ke kidhar jā.ūñ
tere dar se mirā guzārā hai
justujū kis maqām par laa.ī
mujh meñ ab yaar kā nazārā hai
tū 'fanā' ho ke zindagī pā le
nigah-e-yār kā ishāra hai
teri nisbat mera sahaara hai
yahi kashti yahi kinara hai
sar to sajde se main uTha leta
kya karun naqsh-e-pa tumhaara hai
wo dar-e-yar hai KHuda ki qasam
main ne sajda jahan guzara hai
ai sanam tujh ko pujne ke liye
main ne dil mein tujhe utara hai
wo tere aastan pe ja pahuncha
tu ne jis ko sanam pukara hai
dil hai mushtaq aa bhi jao sanam
meri tanhai ne tumhein pukara hai
tera dar chhoD ke kidhar jaun
tere dar se mera guzara hai
justuju kis maqam par lai
mujh mein ab yar ka nazara hai
tu 'fana' ho ke zindagi pa le
nigah-e-yar ka ishaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.