Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHabar hi nahin kaise angDai lekar nigahen uThae ki saghar uThae

Fana Bulandshahri

KHabar hi nahin kaise angDai lekar nigahen uThae ki saghar uThae

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    ḳhabar nahīñ kaise añgḌā.ī lekar nigāheñ uThā.e ki sāġhar uThā.e

    kuchh aisā nasha chhā gayā zindagī par sambhalte-sambhalte qadam Dagmagā.e

    bane husn vaale sarāpā qayāmat javānī jab aa.ī to andāz aa.e

    girā.ī kabhī shoḳh nazroñ se bijlī kabhī sharm aa.ī kabhī muskurā.e

    koī ke mere masīhā se kah de ḳhudā ke liye aag dil bujhā de

    mohabbat ke sho.ale bhaḌakne lage haiñ kahīñ ḳhirman-e-zindagī jal na jaa.e

    ho un dīdār qismat se jab bhī adā ho ga.ī hai namāz-e-mohabbat

    nikal aa.e jab bhī vo parde se bāhar nigāhoñ ne jhuk jhuk ke sajde luTā.e

    sunā.e kise apnī ġham kahānī kidhar jaa.e vo terī mahfil se uTh kar

    nazar ne tirī jis dil le liyā ho vo qismat maarā kahāñ chain paa.e

    chaman vaale achchhī tarah jānte haiñ chaman meñ jo qurbāniyāñ ham ne haiñ

    chaman se añdhere miTāne ḳhātir nasheman banā.e nasheman jalā.e

    na saaqī na botal na hai raqs-e-sāġhar udāsī hai chhā.ī huī anjuman par

    'fanā' saaz dil se ġhazal aisī chheḌo 'fanā' naach aTThe zindagī jhuum jaa.e

    KHabar hi nahin kaise angDai lekar nigahen uThae ki saghar uThae

    kuchh aisa nasha chha gaya zindagi par sambhalte-sambhalte qadam Dagmagae

    bane husn wale sarapa qayamat jawani jab aai to andaz aae

    girai kabhi shoKH nazron se bijli kabhi sharm aai kabhi muskurae

    koi ja ke mere masiha se kah de KHuda ke liye aag dil ki bujha de

    mohabbat ke shoale bhaDakne lage hain kahin KHirman-e-zindagi jal na jae

    ho un ka didar qismat se jab bhi ada ho gai hai namaz-e-mohabbat

    nikal aae jab bhi wo parde se bahar nigahon ne jhuk jhuk ke sajde luTae

    sunae kise apni gham ki kahani kidhar jae wo teri mahfil se uTh kar

    nazar ne teri jis ka dil le liya ho wo qismat ka mara kahan chain pae

    chaman wale achchhi tarah jaante hain chaman mein jo qurbaniyan hum ne di hain

    chaman se andhere miTane ki KHatir nasheman banae nasheman jalae

    na saqi na botal na hai raqs-e-saghar udasi hai chhai hui anjuman par

    'fana' saz dil se ghazal aisi chheDo 'fana' nach aTThe zindagi jhum jae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now