ab tasawwur mein haram hai na sanam-KHana hai
ab tasavvur meñ haram hai na sanam-ḳhāna hai
maiñ jahāñ par huuñ vahīñ yaar kā kāshāna hai
justujū-e-haram-o-dair se begāna hai
merā dil aap kī tasvīr kā dīvāna hai
ab na kā'be meñ jhukegā na sanam-ḳhāne meñ
merā sar sar nahīñ sañg-e-dar-e-jānāna hai
sab tirī mast nigāhī kā karam hai saaqī
riñd jo bhī yahāñ hosh se begāna hai
tere dar se na uThā huuñ na uThūñgā ai dost
zindagī tere binā ḳhvāb hai afsāna hai
mudda'ā us ke 'alāva nahīñ kuchh aur merā
terā dīvāna huuñ dar pe tere miT jaanā hai
ai 'fanā' kahte haiñ me'arāj-e-'ibādat us ko
mere har sajde kā hāsil dar-e-jānā hai
ab tasawwur mein haram hai na sanam-KHana hai
main jahan par hun wahin yar ka kashana hai
justuju-e-haram-o-dair se begana hai
mera dil aap ki taswir ka diwana hai
ab na ka'be mein jhukega na sanam-KHane mein
mera sar sar nahin sang-e-dar-e-jaanana hai
sab teri mast nigahi ka karam hai saqi
rind jo bhi yahan hosh se begana hai
tere dar se na uTha hun na uThunga ai dost
zindagi tere bina KHwab hai afsana hai
mudda'a us ke 'alawa nahin kuchh aur mera
tera diwana hun dar pe tere miT jaana hai
ai 'fana' kahte hain me'araj-e-'ibaadat us ko
mere har sajde ka hasil dar-e-jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.