uTha parda to mahshar bhi uThega dida-e-dil mein
uThā parda to mahshar bhī uThegā dīda-e-dil meñ
qayāmat chhup ke baiThī hai naqāb-e-rū-e-qātil haiñ
'ayāñ hai donoñ 'āriz par ye kyā tāsīr hai til meñ
biThā rakkhā hai kyuuñ kāfir musalmānoñ kī mahfil meñ
tum apne aap ko rusvā.ī se kaise bachāoge
agar tasvīr khiñch aa.ī tumhārī chashm-e-bismil meñ
vahī josh jinnoñ ab tak vahī hai ishaq kī duniyā
vahī sahrā vahī majnūñ vahī lailā hai mahmil meñ
mujhe tum se shikāyat hai na duniyā se koī shikva
merī taqdīr laa.ī mujh ko rusvā.ī kī manzil meñ
sukūñ kī justujū meñ ashk aa pahuñche haiñ palkoñ tak
panāheñ DhūñDtī hai mauj-e-āġhosh-e-sāhil haiñ
qayāmat ho ga.ī kā'ba meñ aa.ī yaad us but kī
'fanā' ham ban ga.e kāfir ḳhudā vāloñ kī mahfil meñ
uTha parda to mahshar bhi uThega dida-e-dil mein
qayamat chhup ke baiThi hai naqab-e-ru-e-qatil hain
'ayan hai donon 'ariz par ye kya tasir hai til mein
biTha rakkha hai kyun kafir musalmanon ki mahfil mein
tum apne aap ko ruswai se kaise bachaoge
agar taswir khinch aai tumhaari chashm-e-bismil mein
wahi josh jinnon ab tak wahi hai ishaq ki duniya
wahi sahra wahi majnun wahi laila hai mahmil mein
mujhe tum se shikayat hai na duniya se koi shikwa
meri taqdir lai mujh ko ruswai ki manzil mein
sukun ki justuju mein ashk aa pahunche hain palkon tak
panahen DhunDti hai mauj-e-aghosh-e-sahil hain
qayamat ho gai ka'ba mein aai yaad us but ki
'fana' hum ban gae kafir KHuda walon ki mahfil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.