marna bhi mohabbat mein kisi kaam na aaya
marnā bhī mohabbat meñ kisī kaam na aayā
marne se bhī ai dil tujhe ārām na aayā
ham jaañ se ga.e us ko magar laaj na aa.ī
ham miT ga.e aur yaar kā paiġhām na aayā
rusvā sar-e-bāzār mohabbat meñ hue ham
sad shukr ki un pe koī ilzām na aayā
kyā kyā na sahe ham ne tere hijr meñ sadme
bhūle se kabhī lab pe terā naam na aayā
sairāb kyā sab ko terī mast nazar ne
lekin merī jānib to koī jaam na aayā
naale bhī kiye aah bhī kī dil bhī jalāyā
vo parda-nashīn phir bhī lab-e-bām na aayā
vīrānī merī qabr kī qismat meñ likhī thī
do phuul chaḌhāne sar-e-shām na aayā
sīkhī thī vafā 'ishq meñ us shoḳh ke ḳhātir
lekin na hunar mere kisī kaam na aayā
kyā bhuul ga.e haiñ vo mujhe pūchhnā qāsid
naama koī muddat se mere kaam na aayā
āġhāz to achchhā thā 'fanā' din bhī bhale the
phir raas mujhe 'ishq kā anjām na aayā
marna bhi mohabbat mein kisi kaam na aaya
marne se bhi ai dil tujhe aaram na aaya
hum jaan se gae us ko magar laj na aai
hum miT gae aur yar ka paigham na aaya
ruswa sar-e-bazar mohabbat mein hue hum
sad shukr ki un pe koi ilzam na aaya
kya kya na sahe hum ne tere hijr mein sadme
bhule se kabhi lab pe tera nam na aaya
sairab kya sab ko teri mast nazar ne
lekin meri jaanib to koi jam na aaya
nale bhi kiye aah bhi ki dil bhi jalaya
wo parda-nashin phir bhi lab-e-baam na aaya
virani meri qabr ki qismat mein likhi thi
do phul chaDhane sar-e-sham na aaya
sikhi thi wafa 'ishq mein us shoKH ke KHatir
lekin na hunar mere kisi kaam na aaya
kya bhul gae hain wo mujhe puchhna qasid
nama koi muddat se mere kaam na aaya
aaghaz to achchha tha 'fana' din bhi bhale the
phir ras mujhe 'ishq ka anjam na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.