un ke jalwon pe hama waqt nazar hoti hai
un ke jalvoñ pe hamā vaqt nazar hotī hai
kūcha-e-yār meñ yuuñ apnī basar hotī hai
jaane kyā chiiz mohabbat kī nazar hotī hai
vo jidhar hote haiñ duniyā hī udhar hotī hai
hosh vaale merī vahshat ko bhalā kyā samjheñ
un ke dīvānoñ ko 'ālam kī ḳhabar hotī hai
'ishq meñ chāñd-sitāroñ kī haqīqat kyā ho
jalva-e-yār pe qurbān sahar hotī hai
aap kī yaad se hotā hai mirā dil raushan
aap ko dekh ke bedār nazar hotī hai
merī un ko na ḳhabar ho ye koī baat nahīñ
un ko to saare zamāne kī ḳhabar hotī hai
jazba-e-ishq meñ jannat kī tamannā kaisī
ye bulandī to mirī gard-e-safar hotī hai
hech hotī hai nigāhoñ meñ matā’-e-kaunain
mere dilbar kī nazar jab bhī idhar hotī hai
mere dāman meñ samā jaate haiñ donoñ 'ālam
mere jānāñ kī nazar jab bhī idhar hotī hai
aur kyā hogī mire 'ishq kī me'arāj 'fanā'
zindagī yaar ke qadmoñ meñ basar hotī hai
un ke jalwon pe hama waqt nazar hoti hai
kucha-e-yar mein yun apni basar hoti hai
jaane kya chiz mohabbat ki nazar hoti hai
wo jidhar hote hain duniya hi udhar hoti hai
hosh wale meri wahshat ko bhala kya samjhen
un ke diwanon ko 'alam ki KHabar hoti hai
'ishq mein chand-sitaron ki haqiqat kya ho
jalwa-e-yar pe qurban sahar hoti hai
aap ki yaad se hota hai mera dil raushan
aap ko dekh ke bedar nazar hoti hai
meri un ko na KHabar ho ye koi baat nahin
un ko to sare zamane ki KHabar hoti hai
jazba-e-ishq mein jannat ki tamanna kaisi
ye bulandi to meri gard-e-safar hoti hai
hech hoti hai nigahon mein mata’-e-kaunain
mere dilbar ki nazar jab bhi idhar hoti hai
mere daman mein sama jate hain donon 'alam
mere jaanan ki nazar jab bhi idhar hoti hai
aur kya hogi mere 'ishq ki me'araj 'fana'
zindagi yar ke qadmon mein basar hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.