meri zaban pe teri mohabbat ki baat hai
merī zabāñ pe terī mohabbat kī baat hai
ye baat mere vāste rāh-e-najāt hai
kaise ḳhayāl-e-yār se dāman bachā.eñ ham
ab to ḳhayāl-e-yār charāġh-e-hayāt hai
tirā jamāl terī tajallī tirā ḳhayāl
donoñ jahāñ meñ merī yahī kā.ināt hai
mirī bisāt kyā hai tire sāmne sanam
qurbān tere husn pe kul kā.ināt hai
batlā.ūñ kyā junūñ hai mirā kis maqām par
jis din se merā yaar ke hāthoñ meñ haath hai
hai aaj mirā sar tiire dar pe jhukā huā
ai dost tire chashm-e-'ināyat kī baat hai
tere alāva kuchh mujhe aatā nahīñ nazar
ab maiñ huuñ tere saath ki tū mere saath hai
tere baġhair zindagī tārīk hai merī
saare jahāñ meñ din hai mire ghar meñ raat hai
tāsīr ulTī dekhī mohabbat kī raah meñ
us rāste meñ jītne vaale ko maat hai
jis kī mujhe talāsh thī ulfat meñ ai 'fanā'
vo mil ga.e haiñ mujh ko muqaddar kī baat hai
meri zaban pe teri mohabbat ki baat hai
ye baat mere waste rah-e-najat hai
kaise KHayal-e-yar se daman bachaen hum
ab to KHayal-e-yar charagh-e-hayat hai
tera jamal teri tajalli tera KHayal
donon jahan mein meri yahi kainat hai
meri bisat kya hai tere samne sanam
qurban tere husn pe kul kainat hai
batlaun kya junun hai mera kis maqam par
jis din se mera yar ke hathon mein hath hai
hai aaj mera sar tere dar pe jhuka hua
ai dost tere chashm-e-'inayat ki baat hai
tere alawa kuchh mujhe aata nahin nazar
ab main hun tere sath ki tu mere sath hai
tere baghair zindagi tarik hai meri
sare jahan mein din hai mere ghar mein raat hai
tasir ulTi dekhi mohabbat ki rah mein
us raste mein jitne wale ko mat hai
jis ki mujhe talash thi ulfat mein ai 'fana'
wo mil gae hain mujh ko muqaddar ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.