hai tera tasawwur teri lagan dil tujhse lagae baiThe hain
hai tera tasawwur teri lagan dil tujhse lagae baiThe hain
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
hai terā tasavvur terī lagan dil tujh se lagā.e baiThe haiñ
ik yaad meñ terī jān-e-jahāñ ham ḳhud ko bhulā.e baiThe haiñ
jhuktī hai nazar sajde ke liye hotī hai namāz-e-'ishq adā
me'arāj-e-'ibādat kyā kahiye vo sāmne aa.e baiThe haiñ
nazroñ kā taqāza puurā karo ek baar to jalva dikhlā de
ye ahl-e-junūñ ye dīvāne ummīd lagā.e baiThe haiñ
taslīm-o-razā kī manzil meñ dil jaan to koī chiiz nahīñ
ham terī adāoñ par jānāñ īmān luTā.e baiThe haiñ
dekho to zarā ye bholā-pan us nāz-o-adā ko kyā kahiye
dil le ke hamārā mahfil meñ nazroñ ko chhupā.e baiThe haiñ
us husn pe duniyā martī hai ik ham hī nahīñ shaidā un ke
ma'alūm nahīñ ye kitnoñ ko dīvāna banā.e baiThe haiñ
hastī hai surūr-e-mastī meñ ab hosh kā da.ava kaun kare
vo mast nazar se ham ko 'fanā' mastāna banā.e baiThe haiñ
hai tera tasawwur teri lagan dil tujh se lagae baiThe hain
ek yaad mein teri jaan-e-jahan hum KHud ko bhulae baiThe hain
jhukti hai nazar sajde ke liye hoti hai namaz-e-'ishq ada
me'araj-e-'ibaadat kya kahiye wo samne aae baiThe hain
nazron ka taqaza pura karo ek bar to jalwa dikhla de
ye ahl-e-junun ye diwane ummid lagae baiThe hain
taslim-o-raza ki manzil mein dil jaan to koi chiz nahin
hum teri adaon par jaanan iman luTae baiThe hain
dekho to zara ye bhola-pan us naz-o-ada ko kya kahiye
dil le ke hamara mahfil mein nazron ko chhupae baiThe hain
us husn pe duniya marti hai ek hum hi nahin shaida un ke
ma'alum nahin ye kitnon ko diwana banae baiThe hain
hasti hai surur-e-masti mein ab hosh ka dawa kaun kare
wo mast nazar se hum ko 'fana' mastana banae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.