shama-e-mahfil hun na main surat-e-parwana hun
sham.a-e-mahfil huuñ na maiñ sūrat-e-parvāna huuñ
ai sanam maiñ to tire husn kā dīvāna huuñ
maiñ ne pī lī hai tire mast nigāhoñ kī sharāb
ab mujhe hosh na aa.egā vo mastāna huuñ
tujh se nisbat hai tirā 'ishq hai īmān mirā
tū sanam hai tū parastār-e-sanam-ḳhāna huuñ
tū tamāshā.ī na ban mujh ko tamāsha na banā
terā dīvāna thā ab bhī terā dīvāna huuñ
tū hī maz.hab tū hī īmān tū hī hāsil-e-nisbat
maiñ tere 'ishq meñ har chiiz se begāna huuñ
kyuuñ sunāte ho mujhe dair-o-haram ke qisse
maiñ to har vaqt fidā-e-rukH-e-jānāna huuñ
ai fanā jab se milā sañg-e-dar-e-yār mujhe
be-niyāz haram-o-kā'ba-o-but-kHāna huuñ
shama-e-mahfil hun na main surat-e-parwana hun
ai sanam main to tere husn ka diwana hun
main ne pi li hai tere mast nigahon ki sharab
ab mujhe hosh na aaega wo mastana hun
tujh se nisbat hai tera 'ishq hai iman mera
tu sanam hai tu parastar-e-sanam-KHana hun
tu tamashai na ban mujh ko tamasha na bana
tera diwana tha ab bhi tera diwana hun
tu hi mazhab tu hi iman tu hi hasil-e-nisbat
main tere 'ishq mein har chiz se begana hun
kyun sunate ho mujhe dair-o-haram ke qisse
main to har waqt fida-e-rukH-e-jaanana hun
ai fana jab se mila sang-e-dar-e-yar mujhe
be-niyaz haram-o-ka'ba-o-but-kHana hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.